Sunday 4 November 2012

Dil par unke mera naam likha ho, aisa bhi ho sakta hai

Dil par unke mera naam likha ho, aisa bhi ho sakta hai,
Lab pe khamoshi ka pehra ho, aisa bhi ho sakta hai,
Shayad main hi na padh saka, unki aankho ka likha,
Usne kuch izhaar kiya ho, aisa bhi ho sakta hai,
Humko bhi uska chehra aurbaatein yaad nahi,
Wo bhool gaya hoga, aisa bhi ho sakta hai,
Tanhaayi ke aalam mein, meri betaabi bhi wo hai,
Wo bhi ab tak jaag rahi ho, aisa bhi ho sakta hai,
Jiski chahat ne humko, diwana bana diya,
Wo bhi khoya khoya sa ho, aisa bhi ho sakta hai...!



No comments:

Post a Comment