Tuesday 14 January 2014

Tum kyun bane ho dil ka sahara

Tum kyun bane ho dil ka sahara jawab do
Ab kahan hai wo pyaar tumhara jawab do
Kis ko tha naaz apni adaaon pe her ghari
Kis ne kiya wafa se kinara jawab do
Hum tou seh na sakenge judai ka gum
Ye qobul tha mera k tumhara jawab do
Aik taraf zindagi, aik taraf mout hai
Ab kis taraf karoge ishara jawab do....

No comments:

Post a Comment